• Lyrics to Chupake Chupake

    From Afzal A. Khan@21:1/5 to waosif@gmail.com on Wed Nov 13 17:23:28 2019
    On 10/6/2018 2:54 PM, waosif@gmail.com wrote:
    On Tuesday, July 8, 1997 at 12:30:00 PM UTC+5:30, Prerana Jayakumar wrote:
    Hi,

    I've been looking for the lyrics to the song "Chupake Chupake raath din
    aa.soo.n bahaanaa yaad hai" sung by Ghulam Ali and from the movie
    "Nikaah." I have not been able to find it anywhere on the web (including
    the ITRANS song book). If you have or know the words, please send them.

    Thank you

    rani
    raja



    In case you are still looking for this ghazal by Maulana
    Hasrat Mohani, here it is :


    Chupke chupke raat din aaNsoo bahaana yaad hai
    Ham ko ab tak 'aashiqi ka woh zamaana yaad hai

    Baa~hazaaraaN iztiraab-o-sad~hazaaraaN ishtiyāaq
    Tujh se woh pahle'pahal, dil ka lagaana yaad hai

    Baar baar uThna usi jaanib nigaah-e-shauq ka
    Aur tira GHurfe se woh aaNkheN laRaana yaad hai

    Tujh se kuchh milte hi woh be'baak ho jaana mira
    Aur tira daaN'toN men woh uNgli dabaana yaad hai

    Kheench lena woh mira parde ka kona dafa'tan
    Aur dupaTTe se tira woh muNh chhupana yaad hai

    Jaan kar sota tujhe woh qasd-e-paa~bosi mira
    Aur tira Thukra ke sar woh muskuraana yaad hai

    Tujh ko jab tan'ha kabhi paana to az raah-e-lihaaz
    Haal-e-dil baatoN hi baatoN men jataana yaad hai

    Jab siva mere tumhaara koi deewaana na tha
    Sach kaho kuchh tum ko bhi woh kaar~KHaana yaad hai

    GHair ki nazroN se bach kar sab kī marzi ke KHilaaf
    Woh tira chori-chhupe raatoN ko aana yaad hai

    Aa gaya gar vasl kī shab bhi kaheeN zikr-e-firaaq
    Woh tira ro~ro ke mujh ko bhi rulaana yaad hai

    Do'pahar ki dhoop men mere bulaane ke liye
    Woh tira koThe pe naNge paaNv aanaa yaad hai

    Aaj tak nazroN men hai woh sohbat-e-raaz-o-niyaaz
    Apna jaana yaad hai tera bulaana yaad hai

    MeeThī meeThī chheR kar baateN niraali pyaar kī
    Zikr dushman ka woh baatoN men uRaana yaad hai

    Dekhna mujh ko jo bar'gashta to sau sau naaz se
    Jab manaa lena to phir KHud rooTh jaana yaad hai

    Chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
    MuddateN guzreeN par ab tak woh Thikaana yaad hai

    Shauq men mehNdi ke woh be~dast-o-pa hona tira
    Aur mira woh chheRna woh gud'gudaana yaad hai

    Baa~wajood-e-iddi'aaye-ittiqa "Hasrat" mujhe
    Aaj tak 'ahd-e-havas ka woh fasaana yaad hai





    Afzal

    --- SoupGate-Win32 v1.05
    * Origin: fsxNet Usenet Gateway (21:1/5)